Sunday, 5 May 2013

Best Song By Akhil Krishnan.. For VJTI !!!

Tere quad me ki gayi mastiyaa
Tere canteen me chai ki chuskiyaa
Tere char saal ki zindagaaniyaa
Nahi bhoolunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Mera exams ke raat ka padhna
Mera doston ka bday manana
Mera assignments bina samjhe chaapna
Yaad rakhunga mai
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Fests me bedhadak kaam karne se
Baat baat pe bewaja roothne se
Doston ki bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

Tere aanchal ke daaman se
Tere classroom ki mahaul se
Apne doston ke sangat se
Lipatna chahta hu mai
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Don't cry coz its over, smile coz it happened !! #VJTI
 By Akhil Krishnan
 

No comments:

Post a Comment